Monday, February 3, 2014

Nirbhaya Ke Dukh Mein

Kabhi aapne socha hai
ki swarglok ki apsaraon ka kya
aaj vahi haal hai jo Hindustan ki naariyon ka  ka hai?

Kya un apsaraon ko bhi devgun unhi nazaron se dekhte hain
jin nazaron ka saamna local train mein safar kar rahi
mahilaon ko karna padhta  hai?

Ise kaliyug ka naam deke
itni aasani se na taaliye, Shrimaan.
Ye shoshan to Manu ke kaal se chala aa raha hai.

Kabhi mandir mein jaake dekhiye,
vahaan aapko insaan hi milenge.
Devtaon ne toh kabse vahaan aana
band kar diya hai