Friday, July 17, 2015

Kavita se Kranti ka ek asafal prayatn(feeling Mudi tonight)

Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi
Roti ke chakkar mein tanhayi rooth gayi

Kavi mitron se milna tab kum hua
Mehfilon mein jana jab band hua

Bacha-kucha saali mohabbat loot gayi
Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi

Kavita roothi, kalam phooti
Mohabbat ne duniya looti

Ab ye padh kar lag hi raha hoga aapko
Sar mein dard ho hi raha hoga aapko

Kalam meri thi laal, padey-padey bhagua ho gayi
Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi

Phir ek mahashay gaddi pe baithey
Chaudi chhaati pe aise ainthey

Pahlaj aur Gajendra ko bhi bithaya
Kehtein hain bahuton ko marwaya
Nalanda se Amartya nikal aya

Sunaana tha sach magar keh kar jhooth gayi
Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi

Aese mahaul mein kavita bhala kaun likhta bhai
Kavi mitron sang mil kar maine andolan kiya bhai

Do ko goli lagi, do paagal huey do ko jeevan raas na aya
Mohabbat gayi, roti gayi, kismat ne na saath nibhaya 

Sar mein dard toh ho hi raha hoga aapko
Ab ye padh kar lag hi raha hoga aapko

Kaise ghar mein ghus kar mujhe CBI koot gayi
Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi

Ab ye aalam hai ki laptop pe sar patakta hoon
Apne ma-baap tak ko main ab khatakta hoon

Kya likhoon, kis par likhoon, kiske liye likhoon
Likhne se kya hoga, kavita main kyun likhoon

'Kavita khao, kavita pehno, kapde pe kavita likho
Jungle sab katenge ab, ab kapde pe hi kavita likho’

Jaate-jaate bhi saali dekar NaMo ka suit gayi
Kya bataon kab mujhse kavita chhoot gayi.

No comments:

Post a Comment